Saturday, 7 January 2012

MaiN cHaL DiyA..



koi raaz to main nahi 
bas chota sa ek alfaaz hu
koi bada sa main pathar to nhi
bas thodi si ret hi to hu
jidhar lejaye hawa 
sang main chal diya
paani sang bhi beh gaya
khushbu sang mehekta chala gaya
kya mere liye andher
kya hi saver
derkha nhi kuch
socha bhi to nhi kuch


lehrate ped ki thandi pawan bankar
dhoop chupa,chaya bankar
main to chal diya


kabhi dhund bankar
kabhi nami bankar
kabhi to kisi ki kashish bankar
main chal diya


maloom nahi raste
kya hoti h manjile
main bas chal diya
main chal diya


jane kahan ...main yun chal diya


peeche chod sab kuch
wajah bhi tu na mujhse puch
jaane de..
chalne de


pal chhoot jaane de
lamhe toote hai to toot jaane de


kuch na ab sunayi diya..
bas main chal diya...
main chal diya......
M<

No comments:

Post a Comment