jee lun main ye zindagi aise hi
ya jake main marjaun kahin
kya karun main kya karun
is asmanjas se kaise ladun
khwab hai toote foote se
sapne hai roothe roothe se
inko kaise kahan sametu main
apne sapne kisiko kaise dedu main
ghataein kaisi chaa gyi
kaali ye raat jo aa gyi
waqt purana kaise laun main
khud ko khud se kaise mailaun main
yudh hi to hai ye zindagi
ashudh hi to hai ye zindagi
har mod me
har dod me
furti kaise laun main
bavandar ko kaise suljhau main
toofano se akela kaise ladjaun main
sham purani yad karun to
ankhein bhar bhar jati hai
pal vapas lana chahun to
sansein darr darr jati hai
sansein thi
aahein thi
khuli meri baahein thi
girti thi
mit ti thi
thi to meri zindagi
ladta raha
marta raha
gir gir par main chalta raha
fir bhi
kho gaya
main ro gya
lapata ho ke kahin kho gaya..
aur khud se ye kehta raha.......
jee lun main ye zindagi aise hi
ya jake main marjaun kahin.......kya karun ..main
kya karun....
M<

No comments:
Post a Comment